Tuesday, May 28, 2019

Blogger Me Last Update or Last Modified Date Kaise Enable Kare

Enable Last Update In Blogger
How to Enable Last Update
in Blogger


Blogger Me Last Update Or Last Modified Date Kaise Enable Kare

WordPress Me Last Update Karna Bahut Easy Hai But Blogger Me Hard Bhi Nahi Hai To Chaliye Jante Hai Ki Kaise Enable Kare Blogger Me.

Why last update date is important?

Hello friends. Jab aap post likhte hai to kya kabhi ye socha hai ki usme date show ho rahi hai ki nahi. Aaj ham ise related jankari janenge. Kai bar post ko users ke liye ya search engine ke liye date jaroori hoti hai. Jisme last update aur last modified date aham hissa hai. To aaj ham janenge blogger me last update ya last modified date kaise enable kare. Sath hi me yeh bhi janiye ki blog ki speed kese increase kre.



Last update or modified date

Apke blogger ke liye ye bahut hi jaroori hota hai. Maan ligiye apne post ko 9 july ko android ke bare me likha hai aur 2 month baad android ne us topic me kuchh badlav kiye hai. To apko bhi us post ko update karna hoga. Ab ap us post ko edit karke usko usme kuchh likhoge jo update hua hoga lekin date vohi rahegi. Aur isse apko koi fayda nahi hoga kyoki vohi old date rahne se users bhi sochega ki apne post ko update nahi kiya hai. Ya latest post nahi likhi hai. Isiliye last update important hota hai. Isse users janenge ki ye article latest hai aur vo apke blog me us article ko padhna like karenge.


Benefits-: 
1. Search rank and value badhegi.
2. Traffic increase hogi kyoki log recent topics jyada pasand karte hai.
3. Old posts ko log kam dekhte hai par present ya kuchh din pahle ya update ko log jyada like karte hai.
4. Post update ke sath old post present post me badal jayga.

Blogger me last update or last modified date kaise enable kare.

Wordpress me last update karna bahut easy hai but blogger me hard bhi nahi hai to chaliye jante hai ki kaise enable kare blogger me.


Screenshot Of Set Last Update
Bas 1 2 3 Aur Last Update
Ready.



1. Simple method

1. Go to blogger dashboard.

2. Posts me jakar kisi post ko edit kariye.

3. Published on par click kare date update kar le.

Now done. Apne post ko update kar liya hai par abhi bhi last update show nahi kar raha to apko doosra method use karna padega.


2. Enable last update or last modified date.


Ab yaha apko kuchh theme me change karna hoga so step ki or ate hai.

1. Edit your template.

2. Search- date or published on or posted on or post date. Inme se kisi ek ko search kare.

3. Aur inme se jo bhi apke blog me search ho to usme apko last update likhna hoga.

Now done. Completely apne agar iske baad bhi apke blog me last update ya fir last modified date na show kare to method 2 use kar sakte hai.


Method- 2-: 

1. Edit your blogger theme and search <data:post.dateheader/>

2. Ab code ko iss code se replace karde
Last updated: <data:post.dateheader/>

3. Done and save your blogger theme.

Final words

Upar ke jitne bhi step the bahut hi simple the. I hope apko ye post samajh aa gyi hogi. Ye information shayad hi bloggers ko pata ho to unke sath jaroor share kare. Taki vo bhi ye baat jan sake. Agr aapko technology releted kuch aur janna he to daily hmare blog pe visit kare. Tb tk ke liye good bye.


Friday, May 24, 2019

User Friendly Post Kaise Write Kare 4 Tips

User Friendly Writing Kaise Kare
User Friendly Post Write.

User friendly post


To kaise ho tum log. Kya aap blogging ke passionate ho. Agar ho to ye post tumhare liye aag ke gole ka kaam karegi kyoki isme mai apke liye blogging se related hi aaj ki post lekar aaya hu. Ky apne blogging writing ke bare socha hai ki kaise post likhe. Agar nahi socha hai to iss post ko padhte raho kyuki aaj mai apko batane wala post ko user friendly kaise banaaye.

Blog writing

Blog ke post writing me bhi hame focus dalna chahiye kyoki post writing hi hamre blog ko poora karti hai. Par tab jab aap ki writing behtar hogi. Jis type seo friendly yani search engine optimization hota hai usi parakaar ham ise user friendly bhi bana sakte hai. Ap yh bhi jan skte he ki seo friendly posts kese likhe. To jante hai ki kis tarah blog post or writing ko seo friendly banaaye.



Best 4 tips to for user friendly posts

Don't act like blogger

Jab bhi aap blog likhte ho, write karte ho to aap aise likho jaise kisi friend se baat kar rahe  ho. Aur kisi friend ko koi topic samjha rahe ho. Kyoki likhne aur bolne me bada fark hota hai. Kuchh had tak apne writing ko aise banaaao ki user samjhe ki vo apka friend he. Isiliye isko lekh ki tarah nahi friend ki tarah likho.

Use attractive words

Agar aap apne blog ko newspaper ki tarah na samajh ke, attractive  words use karte hai usse apka bahut bada fayda hai, jaise mai apko dikhata hu attractive words kya hai, exp- to kaise ho tum log, chaliye shuru karte hai .etc aap kuchh is types words use karke apne post ko badhiya user friendly bana sakte hai. Aur is tarah me vo user apki post ko share bhi kar sakta hai.

Don't use shortcut words

Some bloggers shorcut words par jyada bharosa karte hai. Par aisa nahi hai kyuki usse visitors ghuste hi apke blog me jab post ko dekhta hai to vo jab apke blog post ki writing ko dekhta hai vo return aa jata hai. Aur doosre blog me visit kar jata hai. Isse apka hi loss hai. Isiliye kabhi shortcut ka use mat karo.


Use first letter capital

Maanlo apne post likh bhi li. Post me shortcut bhi na use kiya but vo post utni attraction wali  nahi rahegi jab tak usme aap har words me capital letter na use karo. Ye jaroori nahi hai ki har words me capital letter use karo lekin kuchh aur main words me to use karo. Isse apko bhi fayda hai aur use jisne apke blog se help mili hai.

My words and opinion

I hope apko ye post achchi lagi hogi agar apko bhi age badhna hai to ye poat ko sabhi logo tak pahuchaao taki vo bhi is post bare me jaan sake. Doston isse apko hi nahi mujhe bhi yeh lagega ki meri post sabhi logo tak pahuch gayi aur unko bhi ye bataay jo new bloggers hai ya abhi start karne wale hai.


Android Go Kya Hai Iske 4 Best Features

Android Go
Android Go and Features.


Android go

Hello friends kaise hai aap log. Umeed karta hu achche hoge. Kal maine blog nahi likha tha kyoki mai busy tha. Aaj kafi kuchh sochne ke baad maine android se related information dunga. Waise aap to internet use karte honge. Aabhi- abhi apne android go ka naam suna hi hoga. Aur kuchh log to iske bare me jante hi honge. Agar nahi jante hai to is post ko poora padhte rahe. Yaha mai apko baataunga android go kya hai aur android go ke kya features hai.

Android go kya hai?

Aap to android phone use karte hi honge aur android go ka naam bhi suna hai aur jante hi honge. Jo android go project hai ye android ka hi hai. Iss project me kaha gaya hi kuchh phones aise hote hai jinme hang wali problem jyada hoti hai. Ya system crash ho jata hai. To iss problem ko solve karne ke liye android ne apna lightweight version launch kiya. Jiska naam hai android go. Aur android go se kya faayde hai apko vo mai neeche bataaunga.


Note-> android go main android ke version ke hisaab se hoga. Jaise iss time android 8 chal raha hai to android 8 go edition hoga.



Features of android go

Hang problem solve

Apke phone ki hang problem solve hogi. Maan ligiye apke phone ki ram 1 gb ya 512 mb hai to iss version me apko google ke sare apps lite me  milenge. Jisse ram me kam force hoga aur phone hang nahi marega . Jo ki apki sabse badi problem solve hogi. Android go version me.

Better user interface

Aam taur par android white ya green ka hota hai but android go me kahi- kahi blue ya main version ka optimization ui apko milega. Yani ham kah sakte hai ki yaha par hame lite user interface milega. To ye go users ke liye kafi interesting baat hai.



Heat problem solve

Apke phone ka jo iss samay ka version hai usko lekar shayad hi aap khush ho. Par jab bhi thodi der facebook ya whatsapp use karne lago to phone heat marne lagta hai. Jisse phone kai sare circuit bhi kharaab ho sakte hai. Yaha android go me iss problem ko kaafi kam kiya gaya ya is problem ko solve kiya gaya hai. Ye apke chalane ke upar depend karta hai.

Smoothly running

Jaisa ki maine upar baataya ki phone apka hang nahi marega aur jab hang nahi marega to apka phone smooth chalega so ye ram ka kamaal hai par is go version me ram kam bhi ho phir bhi phone smooth hi chalga.

My words

To achcha laga agar apko ye post to share karna na bhoole. Janiye kya he developer option aur developer option ko kese enable kre. Yese hi interesting chijo ke liye hmare blog par daily visit kare. Tb tk ke liye goodbye.


Structure Data Kya Hai Aur Iske 4 Best Benefits

Structure Data Ke Bare Me
Structure Data Kya Hai?


SEO and structured data

Ye saal 2019 hai aur ab jab ham blogging kar rahe hai to isme kuchh cheeje hame improve karni hogi. Is baar thoda high level seo ke bare me baat kar lete hai. Aam taur par ham seo kewal keywords ko hi samajhte the but ab hame ise thoda high karna hoga. Kya apne structure data ka naam suna hai. Aaj mai yahi apko bataaunga.

Structure data

Structure data ko samajhne ke hame schema ko samjhna hoga. To pahle apko ye bata du ki schema kya hai. 

Schema- 

Ise kai sare search engines ne milkar banaya tha aur seo se related hai. Aap ise seo subject kah sakte ho. Yahi aisi cheej hai jo structure data deta hai. Yani schema ke dwara hi structure data add kar sakte hai. Kulmilakar schema ko structure data kah sakte hai.

Structure data- 

Structure data vah data hai jo search engine ko samjhane ki koshis karta hai. Content ko index karne me matlab ye content index to hota hai but search engine ko bhi understanding karna chahiye. Taki vo paristhiti ke hisaab se vo apke article ko show kar sake. Ye seo ko high level par le jata hai. Aur iske adhoorepan ko poora karta hai.

In simple words ki ye on page markup hai jo search engine understanding ability ko increase karta hai aur apke business ki rank ko improve karta hai.

Yaha maine structure data add kaise kare uski information di hui hai. Ye baat to aap 100% hi samajh chuke honge ki schema markup hi structure data hai. Matlab schema me hi structure data hota hai jo hame blog me add karna hota hai.

Structure data ke kya benefits hai?

Iske kai sare fayde hai maine upar bataya hua ye ek aisi cheej hai jo search engine optimization ko level up karta hai to aap samajh hi chuke honge ki ye kitna apke liye faydemand hoga.

1. Attractive-: 

Jab bhi aap kuchh google par search karte hai to sometimes apne dekha hoga ki google jis cheej ka answer janna hota hai to google par search box ke neeche pahle se hi alag se post dikhaayi deti hai jisse post attraction me ho jati hai.


Example Of Structure Data
Iss Image Par Aap Dekh Sakte
Hai Kaise Attractive Ho Sakta
Apke Contents.



2. Organic traffic-: 

Aur jab post attraction me hogi tab koi bhi visitor apke blog ane ki koshis karega. Jisse apko traffic ka bada fayda milega.

3. Improve search visibility-: 

Structure data se apke blog ke search me visibility bhi badhti hai. Matlab eye catching ho jati hai kabhi- kabhi kuchh cheeje hoti hai jab koi user search karta hai tab vo content ko andekha kar deta hai. Magar data add karne baad vo content alag hi dikhta hai.

4. Earning-: 

Traffic ke hisaab se earning bhi apki badhegi. Kyoki jab koi bhi visitor apke blog me search engine ke dwaara visit karega to ek dam original traffic hota hai aur aise me apki earning me improvement hogi.


Best benefits- 

Rich snippets enable ho jata hai.

Point-

Schema markup ya structure data add ho jane ke baad search engine me review, rich snippet jaise features enable ho jate hai.

Finally my opinion

Mai soch raha ab seo ko thoda aur sateek tareeke samjha ja sake so maine ise likha hai agar ham ise pahke hi samjh lete jab new the to aaj aur ham advanced level par hote so mai kah raha hu ki ise apko newbie ko share karna chahiye.


Android Mobile Me Developer Option Ko Kaise Enable Kare

Developer Options Ke Topic Ke Liye Ek Image.
How Can I Unlock Developer Options?


Introduction to developer option

Hello friends, aaj mai apko bataunga ki android mobile me developer options ko kaise unlock kare. Lekin usse pahle jaan lete hai developer option hai kya. Vaise ye android developer option lagbhag sabhi phones me available hai. Ye option mobile ko age badhane yani mobile ki had we thoda increase karne ke liye banaya gaya hai.

What is developer options?

Ye ek aisa option hai jo apke device ke kuchh features ko unlock kar deta hai. Mostly ise kuchh develope karne me use karte hai. Isse ham apne mobile ko 45% tak customize kar sakte hai. Aur isme diye options hamare phone ke liye bahut hi usable hai. Yani ham kah sakte hai ki devloper options ke kuchh aise profit hai jo apke liye aur apke device ko profit aur kuchh extra features provided kar sakte hai.

Disadvantage of developer options.

Agar aap kisi bhi cheej ka sahi se use nahi karenge to usse apko disadvantage hi milega. So isse apke device ko tab problem hogi jab ap ka device me kam space ho ya fir ram kam ho. Lekin isse jaada nuksaan apko nahi hoga. Bas phone ka reaction vaisa ho jaayga jaise reset or crash me hota hai. Ise apko jada dikkat nahi hogi bas apka jo phone me me ya internel memory me jo data rahenge vo delete ho jayenge.


How can i unlock developer option features?

Its very easy method. Yaha mai neeche apko step by step bataunga. Use achche ee follow kare jo mai neeche step bata raha hu usko aap achhe se follow kare vaise bahut hi easy hai.
Method ko follow kare-

1. Go to settings
2. Tap in about device
3. Tap in build no. 7 times
4. Now you can unlock developer options.

Jab developer options ko unlock karenge to us vakt ek warning apko aaygi usko jaroor padhe.
Waaw this awosome method. Yah ek simple method hai isse aap kuchh apne phone ko badal sakte hai.mhigh quality features unlock kar sakte hai. Isko aap achche se follow karna.

Final words 

Apko jo bhi jankaari yaha mile usko koi galat use mat kijiyega. Because developer options se aise kaam kiye ja sakte hai jisse dusro ko iska jhatka (shock) lag sakta hai. So be careful.

More in advance

To yeh ek simple tutorial tha jisse aap apne mobile me developer option ko unlock kr sakte he. Developer option ki tarah Android go bhi ek nya concept he. Android go ke kuch best features janne ke liye ye article jarur padhe. Agr aapko janna he ki developer option ke kya fayde he to us tab me jakr aap alg alg option dekh sakte he. Aur nye nye features ko use krke dekh skte he.


Blogger Blog Aur Address Bar Ka Color Kaise Match Kare

Address Bar Match To Your Blog Color
Match Blog Color To Address Bar.

Address bar color and blog color


Hello friends, kaise ho aap sab. Aaaj ki hamari post alag hai, aaj mai bloggers ke liye kuchh interesting laya hu, to friends ready ho jaye ye post blogger platform walo ke liye he. Kya aapne kabhi kisi website par visit kiya hai, waha apne dekha hoga jo address bar hai to vo blog ke color jaisa hi hota he. Maan lijiye blog ka color blue hai to vaha address bar bhi blue hoga. Kya aap bhi aisa karna chahte hai kya aap bhi address bar ko apne blog ka color address bar ke sath match karna chahenge. To iss post post ko dhyaan se padhe.




Blog color address bar match se kya hoga?

Maan lijiye apka koi friend hai ya fir koi visitor hai ho sakta hai vo blog me visit karta ho. Aur sath me kai sare blogs me visit karta ho. To isse fayda ye hai ki agar apke blog ka color address bar me match hoga to vo visitor apke  blog ko kabhi nhi bhoolega. Uske mind me apka hi blog rahega. Maan ligiye kisiko kisi issue ke bare me help chahiye to help karne wala banda apke blog ka hi yaad karega kyoki apke blog ka color address bar se match hone ke karan uske mind me apka blog yad rahega.

Benefits of matching color of address bar and blog

1. Blog attractive dikhega.
2. Blog ka design aur bhi badhiya ho jayga.
3. Colorful rahega.

Blog aur address bar ka color kaise match kare?

To aa gaye ham main step ki taraf. Ab ham janenge ki kaise blog ke color address bar se match kare. Isme kuchh hame setup karna padega. Ek code hai usko hame blog ke template me dalna hoga jisse address bar ka color hamare blog se match ho. To chaliye step ki taraf badhte hai.

1. First backup your theme
2. Edit xml or edit theme
3. Search <head>
4. Copy this code




5. Paste code below (neeche) <head>

note-> iss code me mere color ka code dala hua hai aap chahe to isse change kar sakte hai jaha #ff0000 likha hai waha apne blog ke color ka code dale.

At last my opinion

Ye post to pakka hai bloggers ko pasand aayi hogi kyoki ye unke kaam ki cheej hai template ka achcha banane ka aur usko attractive bananeka bahut hi achchi trick hai agar apne abhi is cheej ke bare me jana hai to ye baat sabko bataao.



Thursday, May 23, 2019

Free Templates Or Themes Use Na Kare 5 Problems Ho Sakti Hai

Free Templates Use Na Kare
Free Themes Use Na Kare.

Problem with blogger


Swagat hai dosto mere blog me lekar aaya hu apke sath. Aaj ka hai hamara topic kuchh template or theme ke bare me. Maan ligiye kisi blogger ne blog create kar liya hai ab usne sare cheeje complete kar lihai but ab vo template ya theme ke bare sochega to ye baat pakki hai ki vo free theme use karega aur ye cheej sabse jyada blogger platform par hoti hai. To mai apko recommend karuga ki kabhi bhi free theme ya template use na kare. Adhik jankari ke liye best templates for blogger ye wala article jarur padhe.

Free templates/themes.

Har new blogger sabse pahle free templates use karte hai but ye jaroori nahi ki new hi ho. Abhi kuchh aise bhi jo professional hai but free use kar rahe hai. Aur ye samasya sabse jyada blogger platform par hoti hai chahe aap old ho ya new shayad hi apko pata ho ki free se apko kya problems ho sakti hai. Jo aap soch bhi nahi sakte kya- kya free themes aur templates me hota hai.

Problems with free templates

1. No customization
Ha , ye sahi hai ki free themes kabhi customizable nahi hote hai matlab blogger me jo theme customizable hai uske hisaab se nahi hote. But free me agar aap se html aur codings ka basic gyaan hai tab usko apne hisaab se edit kar sakte hai. Lekin utna better nahi hota.

2. Not security
Free templates kabhi secure nahi hote hai. Usme kuchh na kuchh third party coding hoti hai jo apke blogging data ko access kar sakta hai. Aur ye bhi ho sakta hai blog jariye apki informations bhi khatre me ho. Aur doosri cheej ki free me http secure nahi rahta hai matlab https error rahta hai.

3. Not encryption
Jaisa ki maine upar bataya ki third party coding nahi hoti hai aur  https error rahta hai, matlab apka blog koi bhi hack kar sakta hai, aur isi ko ham kahte hai encrypted nahi kyoki teesre party ko bhi permission mil jati hai so kabhi bhi free template use na kare.

4. Limited domain support
Jo free ki templates aur themes hoti hai vo apke present wale domain ko to show kar leti hai but unlimited domains nahi access kar pati. Aur agar apne domain change kar diya to ho sakta apka blog kisi aur blog me redirect hone lage.

5. Extra scripts
Sabse badi problem hoti hai free theme me.  Maine kai sare free ke template edit kiye hai aur kuchh me to maine dekha hai ki usme extra scripts padi hoti hai aur agar unko hatane ki koshis karo to template ke kuchh functions error hone lagte hai


Extra Scripts Ka Example Free Template or Theme Me
Ye Newspaper Blogger Template
Hai Jo Sahu4You Ke Dwara
Launch Kiya Gaya Hai
Maine Isko Check Kiya Hai
Jisme Extra Scripts Aur Third
Party Coding Dikhi.



Jaisa ki image me apko dikh raha hoga ki extra script kaise dikhte hai. Aisi bahut si free templates par maine dekha hai.

Note-: kuchh aisi free templates or themes hai jo real me free hai aur safe hai jo maine upar 6 problems bataay hai vo nahi hoti hai free hoti hai aur safe aur secure hoti lekin bahut kam themes ki baat kar raha hu.

My final opinion

Ye jankari hamare sare bloggers tak pahuch jaani chahiye dosto. aisi information ho sakta hai kisi ke kaam aa jaaye ya kisi ka blog bach jaaye. Tb tk ke liye good bye guys.


Monday, May 20, 2019

SEO (Search Engine Optimization) Ko Kaise Understand Kare

How to I Understand Search Engine Optimization
SEO Understanding.



SEO 

Aaj fir ek article lekar aaya hu mai apke sath lekin ye topic seo se hi related hai. Apne search engine optimization yani seo ka naam to suna hi hoga. Magar kabhi apne ise samjhne ki koshis ki hai? Aaj ham seo ko doosre najariye se dekhenge taki aap bhi samajh sako.


SEO ko kaise understand kare

Iska simple tareeka hai ki dinbhar aap article padho. Magar baat isse nahi banegi. Seo ko ek ache level me dekha jaaye to ye hamare blog ke liye bahut bada useful way hai. Hame seo ko samajhna hi chahiye. Seo samajhne ke liye aap ye andaaza lagaaiye ki ek search engine ho to yadi aap jis article ko achche se samjhoge aap use hi first page par rakhenge. Aur bhi bahut tareeke hai samajhne ke liye.


Best way to Understand SEO


1. Experiment with seo
Agar blogging karne ke alawa aap yadi seo ke bare me seekhna hi chahte hai to sabse achchi baat yahi hogi ki uske bare me read kare aur us par experiment karke uska experience le. Mere khayal se aap blogging me alag se time dekar seo ko samajh sakte hai. Agr aapko achi seo ki post likhni he to best 5 tips to write seo friendly post ye wala article jarur padhe.

2. Experts ki raay le
Experiment karne ke baad agar apko lagta hai ki kaam aur guesses aapke hi according hai to theek hai aur yahi cheeje aap bade- bade seo experts se bhi poonchh sakte hai. Aur maan ligiye agar apka seo ke prati guess galat bhi hua to seo expert ke jariye vo baat confirm ho jaygi.

3. Search engine ko samjhe
Agar apko seo ko samajhna hai to pahle search engine ko samjhe. Suppose aap ek search engine ho to aap kaisa article first page par lana pasand karenge? Mere khayaal se use hm first page par laayenge jis article ko aap samjhenge aur jo apko easy words me lagega vohi first page par aayga.

4. Understand words
Seo ka matlab to aap samajhte hi hai. Agar aap words kon bhi ek level par dekhe to bina word ke seo nahi ho sakta hai. Matlab ye hai ki seo ke liye words ki hi ahmiyat hai aur
Unme chhipe key ki. Yaani ham kah sakte hai poora milakar keyword hai jise lekar search engine better answer dikhata hai.


At last my opinion

Seo ko samajhne ka sabse achcha tareeka hoga ki apne site ya apne blog ko us hisaab se banaay taki search engine bhi apke blog ko pasand kare agar apko ye post pasand aayi to ise share kare.


2019 Ke 5 Best SEO Improve Tips Blogger Blog Ke Liye

Improve Your SEO Best tips


At last my opinion

Agar Aap 2019 Me In 5 Cheejo Ka Use Karenge To Apke Blog Ki Badhiya Rank Bani Rahegi Aur Apka Traffic Bhi Badhega. I Hope Ye Post Apko Pasand Aayi Hogi. To please apne friends tk is article ko share kare. Tb tk ke liye good bye.



SEO ka importance

Hi guyz aaj ham apke liye kuchh alag topic laaye hai. Matlab kuchh latest cheej lekar aaye hai. Ham jab bhi blogging karte the to seo ko dhyan me rakhte hue karte the. But ab baat aisi nahi hai. Seo bahut advanced level par aa chuka hai. Isiliye ham baat karenge seo tips 2019: blog ka seo improve kaise kare.



SEO in 2019

Jaisa ki ham jante hai ye saal 2019 hai. Yaha ab high quality se baat nahi banne wali thoda kuchh unique karna hoga. Jaisa ki aap jante hai ki mai aur mere articles me hamesha blogger ki baat hoti hai. So ham blogger ke liye hi seo kaise improve kare bataayenge. Jaisa ki ham sab jante seo ya search engine optimization. Ab thoda change ho gaya hai aur hame blogging karne ka ya seo ke hisaab me chalne ka tareeka bhi thoda change karna padega. To jante hai is 2019 me kya- kya karna padega.


How to make better SEO: best 5 tips

1. Improve your skill

Jab bhi aap blogging karte hai to apne likhne ke skill ko jaroor sudhare kyoki aap jab bhi article likhte honge hamesha extra likhte honge. So mai apko salah dunga ki kabhi bhi boring article na likhe. Kam words ka use kare. Isse google me keyword jyada focus me rahta hai aur apka blog ka page rank improve hota hai.aap jan sakte he ki seo friendly article kese like.

2. Use schema markup structure data

Agar apko organic traffic jyada pasand hai to aap apne blog me schema markup add kar sakte hai. Jisse organic ya search engine se traffic jyada milega. Isse seo me fark hota hai aur apka content search friendly hota hai. Ham ise bhi seo  kah sakte hai so schema markup add karne ki aur isse fayde ki info maine di hui hai.

3. Improve your language

Agar total hindi likhte hai to mai apko suggest karunga ki total hindi likhne ke bajay aap uske beech- beech me english keywords use kare. Isse apki search rank improve hogi. Aur keyword bhi focus rahenge. Ya fir aap apni content hinglish use kariye.

4. Use amp

Amp to aap jante hi honge accelerated mobile page hi hota hai. Apne india me mobile user jyada hai so ab hame apne blog ko fast loading aur optimization ke liye amp add karna padega. Aur isse kuchh search rank bhi improve hogi. Jyada jankari ke blogger me amp kese setup kare ye wala article jarur padhe.

5. Use SEO themes

Suppose that apne seo friendly post likh likh li hai but fir bhi search rank us hisaab ki nahi aa rahi jis type ki apne post likhi hai to isse sabit hota hai apka theme seo optimized nahi hai. So apne blogger theme ko seo optimized kar le.


At last my opinion

Agar aap 2019 me in 5 cheejo ka use karenge to apke blog ki badhiya rank bani rahegi aur apka traffic bhi badhega. I hope ye post apko pasand aayi hogi. To please apne friends tk is article ko share kare. Tb tk ke liye good bye.