Wednesday, May 15, 2019

Blogger Blog Ke Liye 5 Best Templates or Themes

Best Themes For Blogger
Badhiya Templates Apke Liye.


Blog look:

Hello guyz aaj ki jo hamari post hai vo blogger se hi related hai. Jab ham blogging ki starting karte hai to sabse pahle traffic ke bare me sochte hai. Kya aapne kabhi apne blog ke design ke bare me socha hai? Agar nahi to is post ko poora padhe mai aaj kuchh apke blog ke behtar look ke liye templates or themes batane wala hu.

Blogger themes or template.

Blogger me jo template tha ab uska name change hokar theme ho gaya hai lekin ye hai ek hi cheej. Blog me traffic badhane ke liye sabse jyada jaroori blog ka look hota hai. Agar apke blog ka look achcha nahi hai to koi bhi apke site me visit nahi karega. Apko iss bare me sochna chahiye. Mai jab se blogging start kar raha hu tab se badhiya looking ke bare me sochta hu. Mene aage kuch themes ke names bataye he jo ki muze kafi pasand aate he aur ache bhi lagate he.

Best themes for your blog

1. Ribbon blogger template.

Yeh template mai pahle use kiya karta tha iss template ki khaas baat yah hai ki iska color mujhe achcha lagta hai. Iss template ka color red hai aur ye fast loading template hai jo jaldi articles read karne me help karta hai. Isme neeche ki taraf post ne social sharing buttons bhi milte hai. Ye responsive aur user friendly hai. Maine iska ribbon template 2 version bhi update kiya hai aap padh sakte hai.aap chahe to padh skte he ki ribbon ki ribbon-2 me kese update kre.




2. Sora seo.

Naam se hi pata chalta hai seo yani search engine optimization. Ye template simple blog ko technical blog me badal sakta hai. Ye fully seo friendly hai aur iska color logo ko attract karta hai. Ye mobile friendly to hai hi aur sath me desktop friendly hai. Isko use karne ke baad apka blog ko aur bhi jhakaas design ho jaaygi.




3. Harmonia blogger template.

Ye jo template hai isko mai bahut pasand karta tha. Maine is template ke khatir apne blogging journey ke 3 month waste kiye hai. Iska free version bhi hai aur ye sora ka hai. Ye template seo friendly, user friendly, fast loading aur bahut kuchh hai. Is template me mai apko suggest karuga ki aap is template ko hi use kare. Apko ise sora template se buy karna hoga warna free version me footer link nahi hategi.




4. The funk.

Sabse pahle jab mujhe blogging ka kuchh nahi ata tha tab maine isi template ka use kiya tha aur mere readers is template ko bahut pasand karte the. Is template ki khaas baat ye hai ki ye genesis child jaise dikhta hai jo wordpress me hai. Iska color bhi bahut achcha hai. Ye kuchh ribbon template ki tarah aur kuchh- kuchh 20% support me india blog ki tarah dikhta hai.




5. Tech shadow blogger template.

Ye bhi bahut hi badhiya template hai. Aur isme header me subscribe area hai. Seo friendly hai. Aur sath me iska color bhi bahut achcha hai. Agar apka bhi blog mere tarah tech se related hai to aap iska use kar sakte hai. Is template look baki template se badhiya samajhta hu. Ye ek premium template hai jo apko mai ise suggest karuga.








Note->  jo maine templates or themes ke bare me bataya hai agar apko inka preview ya download karna hai to aap inko search kar sakte hai aur download kar sakte hai.

My last lines.

Ye templates mujhe bahut achche lagta hai maine inka use ek baar kiya tha so mai jo apko templates bata raha hu vo apne experience ke hisaab se bata raha hu agar apko pasand ate hai to ye post doosro ko bhi suggest kare aur age bhi mai achche post likhunga. Thank you and good bye.


3 comments:

  1. Hello bro me ye puchna chahta hu ki google adsense appprove karane ke liye best template konsi hai for blogger. And minimum kitne post hone chahiye approve karane ke liye.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Is Time Mai Apko Suggest Karunga Sora One Ko...Kyoki Ye SEO Ready Bhi Hai...
      and Isme Apko Navigation Feature Bahut Badhiya Milta Hai...and... AdSense Easily Approve Ho Jaayga..

      Delete
  2. sir maine v ek blog banaya hai jab me blogger ki apni theme use karata hu to uske sabse upar more my account aur bahut kuch aa jati hai.lekin mere phone me nhi aati hai aur na hi follow option aati hai kya karu

    xyatech.blogspot.com abhi mene isaka theme change kiya hu ek baar me blog par jarur aaiye aur subscribe v kar lijiyega intajaar rahega

    ReplyDelete

1. If There is a Question in Your Mind Then Definitely ask by Commenting Here.
2. You use Hindi or English Language.
3. Don't Spam Here.
4. Don't Share any Link Or Website Here
Thank You