Thursday, May 23, 2019

Free Templates Or Themes Use Na Kare 5 Problems Ho Sakti Hai

Free Templates Use Na Kare
Free Themes Use Na Kare.

Problem with blogger


Swagat hai dosto mere blog me lekar aaya hu apke sath. Aaj ka hai hamara topic kuchh template or theme ke bare me. Maan ligiye kisi blogger ne blog create kar liya hai ab usne sare cheeje complete kar lihai but ab vo template ya theme ke bare sochega to ye baat pakki hai ki vo free theme use karega aur ye cheej sabse jyada blogger platform par hoti hai. To mai apko recommend karuga ki kabhi bhi free theme ya template use na kare. Adhik jankari ke liye best templates for blogger ye wala article jarur padhe.

Free templates/themes.

Har new blogger sabse pahle free templates use karte hai but ye jaroori nahi ki new hi ho. Abhi kuchh aise bhi jo professional hai but free use kar rahe hai. Aur ye samasya sabse jyada blogger platform par hoti hai chahe aap old ho ya new shayad hi apko pata ho ki free se apko kya problems ho sakti hai. Jo aap soch bhi nahi sakte kya- kya free themes aur templates me hota hai.

Problems with free templates

1. No customization
Ha , ye sahi hai ki free themes kabhi customizable nahi hote hai matlab blogger me jo theme customizable hai uske hisaab se nahi hote. But free me agar aap se html aur codings ka basic gyaan hai tab usko apne hisaab se edit kar sakte hai. Lekin utna better nahi hota.

2. Not security
Free templates kabhi secure nahi hote hai. Usme kuchh na kuchh third party coding hoti hai jo apke blogging data ko access kar sakta hai. Aur ye bhi ho sakta hai blog jariye apki informations bhi khatre me ho. Aur doosri cheej ki free me http secure nahi rahta hai matlab https error rahta hai.

3. Not encryption
Jaisa ki maine upar bataya ki third party coding nahi hoti hai aur  https error rahta hai, matlab apka blog koi bhi hack kar sakta hai, aur isi ko ham kahte hai encrypted nahi kyoki teesre party ko bhi permission mil jati hai so kabhi bhi free template use na kare.

4. Limited domain support
Jo free ki templates aur themes hoti hai vo apke present wale domain ko to show kar leti hai but unlimited domains nahi access kar pati. Aur agar apne domain change kar diya to ho sakta apka blog kisi aur blog me redirect hone lage.

5. Extra scripts
Sabse badi problem hoti hai free theme me.  Maine kai sare free ke template edit kiye hai aur kuchh me to maine dekha hai ki usme extra scripts padi hoti hai aur agar unko hatane ki koshis karo to template ke kuchh functions error hone lagte hai


Extra Scripts Ka Example Free Template or Theme Me
Ye Newspaper Blogger Template
Hai Jo Sahu4You Ke Dwara
Launch Kiya Gaya Hai
Maine Isko Check Kiya Hai
Jisme Extra Scripts Aur Third
Party Coding Dikhi.



Jaisa ki image me apko dikh raha hoga ki extra script kaise dikhte hai. Aisi bahut si free templates par maine dekha hai.

Note-: kuchh aisi free templates or themes hai jo real me free hai aur safe hai jo maine upar 6 problems bataay hai vo nahi hoti hai free hoti hai aur safe aur secure hoti lekin bahut kam themes ki baat kar raha hu.

My final opinion

Ye jankari hamare sare bloggers tak pahuch jaani chahiye dosto. aisi information ho sakta hai kisi ke kaam aa jaaye ya kisi ka blog bach jaaye. Tb tk ke liye good bye guys.


2 comments:

  1. nice post bro...thanks for sharing

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sultan Bhai.. Visit Karte Rahe Aur Bhi Information Apko Milegi

      Delete

1. If There is a Question in Your Mind Then Definitely ask by Commenting Here.
2. You use Hindi or English Language.
3. Don't Spam Here.
4. Don't Share any Link Or Website Here
Thank You