![]() |
Internet Ki Speed Increase Kare. |
Internet speed
Bhale hi ham chahe kitna bhi
high quality ka phone le aay lekin jab tak achcha network na raha to vo phone
dabba hi rah jata hai. Agr aapko andoird phone me desktop
browsing krna
he to ye wala article jrur pdhe jo aapke liye likha gya he. Abhi kuchh din
pehale mujhse ek sawaal poochha gaya tha 'sir ye bataiye internet ki speed slow
hai mai kaise network ko badhau ya internet speed increase karu?'. Maine usse
yahi kaha ki mai agle article me iska jawaab jaroor dunga aur badhiya achche
tips bhi dunga.
Internet
speed kyu slow hoti hai?
Aapne dekha hoga ki jab aap new
phone buy karte hai to usme jo network ya jo bhi aap operator use karte hai
uski speed badhiya rahti hai par samay ke sath network speed slow hone lagti
hai. Unka main karan hai mobile me kuchh aisi activities hona ya background
dwara network access kiye jane karan net speed slow ho jati he.
How
to increase internet speed
1.
Don't keep too many apps
Kuchh log aise hote hai jo
phone ko poora store hi bana lete hai aur unme bohot sare apps use karte hai.
Ye bhi ek main karan hai ki itne apps kyu use ho rahe he. Agar jyada apps
rahenge to sabhi apps lagbhag data access karte hai to isi karan mobile me
network speed slow rahti hai. Issiliye mai apko suggest karunga ki aap jyaada
high-tech apps na use kare. Aur agr aap chahte he ki apne mobile me data save kre to ye wala article jrur pdhe.
2.
Clear cache
Agar aap jaroori apps bhi use
karte hai lekin uske baad bhi speed slow to ho sakta hai. Apps me kuchh problem
ho jisse speed slow ho jati hai. Apps me kuchh kharaab file jo hoti hai joki
networks ko rokti hai vo delete ho jati hai. App ka cache clear krne ke liye
niche diye step ko follow kare.
1. Goto setting.
2. Choose apps option.
3. Choose app .
4. Click clear cach data.
3.
Don't use many browsers
Agar aap alag- alag browsers ke
hai shaukeen to attention ho jaiye kyoki kuchh harmful browsers bhi hote hai.
Agar aap aise browsers ka use karte hai to unhe turant hi uninstall kar de.
Kyoki in browsers me aap browsing karte ho magar background me ye apps kuchh
aur activities karte rahte hai. Kuchh browsers apni popularity ke liye networks
block karte dalte hai aur khud ke liye speed tej karte hai. Lekin kabhi kabhaar
kuchh gadbadi se vo poora network hi block dete hai jisse net speed slow ho
jati hai. Mai apko suggest karunga ki in browsers ka use kare -google
chrome,opera mini and puffin browser.ye browsers apke liye safe hai aur speed
bhi badhia dete hai.
4.
Update your phone regularly
Doston kabhi- kabhi apke phone
me old software ke karan network speed slow ho jati he. Kyoki jo mobile
incoming network rahta hai vo software par bhi depend karta hai ki kitna access
kar pata hai. Aur hardware par bhi us hardware ke hosaab se agar software na
update hoga to vo to svabhaavik hai ki apke phone ki network slow hogi isiliye.
Mai kahunga aapse ki apna phone time to time update kare.
5.
Update your all apps
Jahan tak update wali baat hai
vo apps par bhi depend karta hai. Kyonki naye ghar me purane taur tareeke ane
wale generation me peecche rahte hai. Theek usi tarah apka phone bhi agar aap
old apps use kar rahe hai to use google play store se update kar le kyoki
jo old apps hote hai vo network me rahne ke bajaay apne updates ke liye jyada
force karte hai aur running karte wakt massage bhi apko dete hai. Isiliye speed
slow rahti hai kyoki un massage me apka data access ho raha hai naki uss app
me. Isiliye aap apne phone ke sath- sath sabhi apps ko bhi update kare.
6.
Complain your service provider
Kabhi- kabhi jo service
provider hote hai vo network set karte samay kuchh places ko bhool jate hai ya
unke monitor me aisa kuchh show hota hai ki network badhiya batata hai par asal
me baat kuchh aur hoti hai. To aap apne service provider ko call kare aur unse
bole ki hame network me dikkat a rahi. Ho sakta hai vo apki kuchh help kare.
7.
Choose better service operator
Sabse jaroori baat aap jaha
rahte hai ya jis place par shift he to waha check karle ki kiss company ka
network sahi se aa raha hai. Jis jagah me rahte hai waha ke aas pas ke logo se
jankaari le aur pata kare ki yaha kaun se service operator ka network sabse
badhiya ata hai phir uske hisaab se sim le.
My
final words
Iss article ko kafi information
ke baad hi likha shayad uski ye problem solve ho jaygi jisne mere se question
kiya tha aur sath me unki bhi ye samasya solve ho jaygi jo slow network se
paresaan hai mai age aur bhi interesting facts and tips information leke aunga
tab tak aap is post ko share kare.
No comments:
Post a Comment
1. If There is a Question in Your Mind Then Definitely ask by Commenting Here.
2. You use Hindi or English Language.
3. Don't Spam Here.
4. Don't Share any Link Or Website Here
Thank You