Wednesday, May 15, 2019

Janiye Google AdSense Native Ads Ke 5 Best Benefits

Google AdSense Native Ads ke topic Ke liye Edited Image.
Google Native Ads ke Benefits.

Google native ads:


Apne theme customize aur design karne me mujhe kuchh google ke taraf se khabar pata chali ki google adsense hame native ads lagane ki suvidha de raha hai. Native ads matlab hisab se yani blog ke hisab se ads lagane ki permission deta hai. Usse pahle jaan lete hai native ad kya hai. Ab aap to garmiyo ke chhuttiyome pese kmana chahte honge to jrur padhe ki online paise kese kamate he.

Google adsense me native ads kya hai?:


Aap sab log to jante hi honge google adsense ko. Par usme hame ek benefit bhi mil raha hai. Native ads yani ab ham apne blog ya website se related ad laga sakte hai. Pahle ye feature nahi tha. Lekin ab ham ek dum milta julta apne blog aur website ki tarah dikhne wala ad use karte hai. Sabse bada benefit hai isme ki jis category ka apka blog hoga ye uske hisaab se adjust ho jata hai. Aap apne adsense dashboard me jakar ye ads laga sakte hai. Neeche main apko kuchh isse faayde bata deta hu.


Native ads ke 5 benefits:

1. Your topic your ads-

Iska matlab ki jiss topic me apki site rahegi us type ka ad aap laga sakte ho. Ye maine upar bhi bataya hua hai. Agar apka choice tech me hai ,ya blogging me, ya news  jaisi information aap apne blog ke jariye logo provide karenge- usi ke hisaab se adsense apke blog par ads show karega.

2. Color adjust ads-

Pahle adsense hame apne site se match hone ke liye mana kar diya karta tha. Ya color match hone par mana kiya karta tha. Par ab aisa nahi. Ab aap apni site me match khane wala color ad me set karke laga sakte hai lekin native ads hi laga sakte ho.

3. Earning benefit-

Yes this is right point because jab apke blog me match wala ad show karega to pakka hai ki log click karenge. Maaan ligiye apka blog technology ki category par bana hua hai aur sabhi readers aapke blog me tech se related article padhne ate hai aur native ads ke karan apke blog me tech wale hi ads show honge. Aur agar apki site se match hone wala ad show ho raha hai to reader agla article padhne ke liye native ad par click karega. To isse apko benefit hi nahi earning bhi bahut hogi.

4. Improved your blog or site style-

Agar aap old adsense publisher honge ya aapne adsense ko achchi tarah se jante honge to apko pakka pata hoga ki pahle adsense chahta tha ki aap apne blog me jo ads lagate hai vo ek bhi match na karna chahiye aur color to bilkul bhi nahi. Aur isiliye aapke blog me ek alag tarah ka box dikhta tha jo blog par ek bhi achcha nahi lagta tha. Par match ad ke karan apki site bhi beautiful dikhegi aur user bhi apke blog ko pasand karenge.


5. Good experience for users-

Kai log bas yahi shikaayat karte the ki blog par article read karne par alag tarah ka ad ane lagta tha aur waise me reading time me interesting cheej bekar lagne lagti thi jisse vo blog ko exit kar dete the. Par ab us article ko read karte hue usse related ya category se related ad mil jate hai jisse unhe uss cheej ko understand karne me help milti hai.





Conclusion:


To aapko pata chal gaya hoga ki native ads kya hota he aur iske kya kya fayde ya benefits hote he. Agr aap ek blogger he to aapko ek bar jarur native ads try karna chahiye aur aapke blog ka performance check karna chahiye ki aapke blog ke daily views badh rahe he ya nahi. Aur agr aap chahte ho ki aap bhi apna blog start kare par aapke pas computer ya fir laptop nhi he to chinta mat kro, hamne aapke liye ye wala article likha he mobile me apne blog ko kese handle kare.


No comments:

Post a Comment

1. If There is a Question in Your Mind Then Definitely ask by Commenting Here.
2. You use Hindi or English Language.
3. Don't Spam Here.
4. Don't Share any Link Or Website Here
Thank You