Friday, May 24, 2019

Android Go Kya Hai Iske 4 Best Features

Android Go
Android Go and Features.


Android go

Hello friends kaise hai aap log. Umeed karta hu achche hoge. Kal maine blog nahi likha tha kyoki mai busy tha. Aaj kafi kuchh sochne ke baad maine android se related information dunga. Waise aap to internet use karte honge. Aabhi- abhi apne android go ka naam suna hi hoga. Aur kuchh log to iske bare me jante hi honge. Agar nahi jante hai to is post ko poora padhte rahe. Yaha mai apko baataunga android go kya hai aur android go ke kya features hai.

Android go kya hai?

Aap to android phone use karte hi honge aur android go ka naam bhi suna hai aur jante hi honge. Jo android go project hai ye android ka hi hai. Iss project me kaha gaya hi kuchh phones aise hote hai jinme hang wali problem jyada hoti hai. Ya system crash ho jata hai. To iss problem ko solve karne ke liye android ne apna lightweight version launch kiya. Jiska naam hai android go. Aur android go se kya faayde hai apko vo mai neeche bataaunga.


Note-> android go main android ke version ke hisaab se hoga. Jaise iss time android 8 chal raha hai to android 8 go edition hoga.



Features of android go

Hang problem solve

Apke phone ki hang problem solve hogi. Maan ligiye apke phone ki ram 1 gb ya 512 mb hai to iss version me apko google ke sare apps lite me  milenge. Jisse ram me kam force hoga aur phone hang nahi marega . Jo ki apki sabse badi problem solve hogi. Android go version me.

Better user interface

Aam taur par android white ya green ka hota hai but android go me kahi- kahi blue ya main version ka optimization ui apko milega. Yani ham kah sakte hai ki yaha par hame lite user interface milega. To ye go users ke liye kafi interesting baat hai.



Heat problem solve

Apke phone ka jo iss samay ka version hai usko lekar shayad hi aap khush ho. Par jab bhi thodi der facebook ya whatsapp use karne lago to phone heat marne lagta hai. Jisse phone kai sare circuit bhi kharaab ho sakte hai. Yaha android go me iss problem ko kaafi kam kiya gaya ya is problem ko solve kiya gaya hai. Ye apke chalane ke upar depend karta hai.

Smoothly running

Jaisa ki maine upar baataya ki phone apka hang nahi marega aur jab hang nahi marega to apka phone smooth chalega so ye ram ka kamaal hai par is go version me ram kam bhi ho phir bhi phone smooth hi chalga.

My words

To achcha laga agar apko ye post to share karna na bhoole. Janiye kya he developer option aur developer option ko kese enable kre. Yese hi interesting chijo ke liye hmare blog par daily visit kare. Tb tk ke liye goodbye.


No comments:

Post a Comment

1. If There is a Question in Your Mind Then Definitely ask by Commenting Here.
2. You use Hindi or English Language.
3. Don't Spam Here.
4. Don't Share any Link Or Website Here
Thank You