Friday, May 24, 2019

Structure Data Kya Hai Aur Iske 4 Best Benefits

Structure Data Ke Bare Me
Structure Data Kya Hai?


SEO and structured data

Ye saal 2019 hai aur ab jab ham blogging kar rahe hai to isme kuchh cheeje hame improve karni hogi. Is baar thoda high level seo ke bare me baat kar lete hai. Aam taur par ham seo kewal keywords ko hi samajhte the but ab hame ise thoda high karna hoga. Kya apne structure data ka naam suna hai. Aaj mai yahi apko bataaunga.

Structure data

Structure data ko samajhne ke hame schema ko samjhna hoga. To pahle apko ye bata du ki schema kya hai. 

Schema- 

Ise kai sare search engines ne milkar banaya tha aur seo se related hai. Aap ise seo subject kah sakte ho. Yahi aisi cheej hai jo structure data deta hai. Yani schema ke dwara hi structure data add kar sakte hai. Kulmilakar schema ko structure data kah sakte hai.

Structure data- 

Structure data vah data hai jo search engine ko samjhane ki koshis karta hai. Content ko index karne me matlab ye content index to hota hai but search engine ko bhi understanding karna chahiye. Taki vo paristhiti ke hisaab se vo apke article ko show kar sake. Ye seo ko high level par le jata hai. Aur iske adhoorepan ko poora karta hai.

In simple words ki ye on page markup hai jo search engine understanding ability ko increase karta hai aur apke business ki rank ko improve karta hai.

Yaha maine structure data add kaise kare uski information di hui hai. Ye baat to aap 100% hi samajh chuke honge ki schema markup hi structure data hai. Matlab schema me hi structure data hota hai jo hame blog me add karna hota hai.

Structure data ke kya benefits hai?

Iske kai sare fayde hai maine upar bataya hua ye ek aisi cheej hai jo search engine optimization ko level up karta hai to aap samajh hi chuke honge ki ye kitna apke liye faydemand hoga.

1. Attractive-: 

Jab bhi aap kuchh google par search karte hai to sometimes apne dekha hoga ki google jis cheej ka answer janna hota hai to google par search box ke neeche pahle se hi alag se post dikhaayi deti hai jisse post attraction me ho jati hai.


Example Of Structure Data
Iss Image Par Aap Dekh Sakte
Hai Kaise Attractive Ho Sakta
Apke Contents.



2. Organic traffic-: 

Aur jab post attraction me hogi tab koi bhi visitor apke blog ane ki koshis karega. Jisse apko traffic ka bada fayda milega.

3. Improve search visibility-: 

Structure data se apke blog ke search me visibility bhi badhti hai. Matlab eye catching ho jati hai kabhi- kabhi kuchh cheeje hoti hai jab koi user search karta hai tab vo content ko andekha kar deta hai. Magar data add karne baad vo content alag hi dikhta hai.

4. Earning-: 

Traffic ke hisaab se earning bhi apki badhegi. Kyoki jab koi bhi visitor apke blog me search engine ke dwaara visit karega to ek dam original traffic hota hai aur aise me apki earning me improvement hogi.


Best benefits- 

Rich snippets enable ho jata hai.

Point-

Schema markup ya structure data add ho jane ke baad search engine me review, rich snippet jaise features enable ho jate hai.

Finally my opinion

Mai soch raha ab seo ko thoda aur sateek tareeke samjha ja sake so maine ise likha hai agar ham ise pahke hi samjh lete jab new the to aaj aur ham advanced level par hote so mai kah raha hu ki ise apko newbie ko share karna chahiye.


No comments:

Post a Comment

1. If There is a Question in Your Mind Then Definitely ask by Commenting Here.
2. You use Hindi or English Language.
3. Don't Spam Here.
4. Don't Share any Link Or Website Here
Thank You