Monday, May 20, 2019

2019 Ke 5 Best SEO Improve Tips Blogger Blog Ke Liye

Improve Your SEO Best tips


At last my opinion

Agar Aap 2019 Me In 5 Cheejo Ka Use Karenge To Apke Blog Ki Badhiya Rank Bani Rahegi Aur Apka Traffic Bhi Badhega. I Hope Ye Post Apko Pasand Aayi Hogi. To please apne friends tk is article ko share kare. Tb tk ke liye good bye.



SEO ka importance

Hi guyz aaj ham apke liye kuchh alag topic laaye hai. Matlab kuchh latest cheej lekar aaye hai. Ham jab bhi blogging karte the to seo ko dhyan me rakhte hue karte the. But ab baat aisi nahi hai. Seo bahut advanced level par aa chuka hai. Isiliye ham baat karenge seo tips 2019: blog ka seo improve kaise kare.



SEO in 2019

Jaisa ki ham jante hai ye saal 2019 hai. Yaha ab high quality se baat nahi banne wali thoda kuchh unique karna hoga. Jaisa ki aap jante hai ki mai aur mere articles me hamesha blogger ki baat hoti hai. So ham blogger ke liye hi seo kaise improve kare bataayenge. Jaisa ki ham sab jante seo ya search engine optimization. Ab thoda change ho gaya hai aur hame blogging karne ka ya seo ke hisaab me chalne ka tareeka bhi thoda change karna padega. To jante hai is 2019 me kya- kya karna padega.


How to make better SEO: best 5 tips

1. Improve your skill

Jab bhi aap blogging karte hai to apne likhne ke skill ko jaroor sudhare kyoki aap jab bhi article likhte honge hamesha extra likhte honge. So mai apko salah dunga ki kabhi bhi boring article na likhe. Kam words ka use kare. Isse google me keyword jyada focus me rahta hai aur apka blog ka page rank improve hota hai.aap jan sakte he ki seo friendly article kese like.

2. Use schema markup structure data

Agar apko organic traffic jyada pasand hai to aap apne blog me schema markup add kar sakte hai. Jisse organic ya search engine se traffic jyada milega. Isse seo me fark hota hai aur apka content search friendly hota hai. Ham ise bhi seo  kah sakte hai so schema markup add karne ki aur isse fayde ki info maine di hui hai.

3. Improve your language

Agar total hindi likhte hai to mai apko suggest karunga ki total hindi likhne ke bajay aap uske beech- beech me english keywords use kare. Isse apki search rank improve hogi. Aur keyword bhi focus rahenge. Ya fir aap apni content hinglish use kariye.

4. Use amp

Amp to aap jante hi honge accelerated mobile page hi hota hai. Apne india me mobile user jyada hai so ab hame apne blog ko fast loading aur optimization ke liye amp add karna padega. Aur isse kuchh search rank bhi improve hogi. Jyada jankari ke blogger me amp kese setup kare ye wala article jarur padhe.

5. Use SEO themes

Suppose that apne seo friendly post likh likh li hai but fir bhi search rank us hisaab ki nahi aa rahi jis type ki apne post likhi hai to isse sabit hota hai apka theme seo optimized nahi hai. So apne blogger theme ko seo optimized kar le.


At last my opinion

Agar aap 2019 me in 5 cheejo ka use karenge to apke blog ki badhiya rank bani rahegi aur apka traffic bhi badhega. I hope ye post apko pasand aayi hogi. To please apne friends tk is article ko share kare. Tb tk ke liye good bye.


No comments:

Post a Comment

1. If There is a Question in Your Mind Then Definitely ask by Commenting Here.
2. You use Hindi or English Language.
3. Don't Spam Here.
4. Don't Share any Link Or Website Here
Thank You