Tuesday, May 14, 2019

Facebook Me Fake ID Ki Pehchaan Kaise Kare 8 Tips

FB par Fake ID Ki Pehchaan Kariye- Image
Facebook Fake ID Ki Pehchan
Kariye.

Fake ID's ka trend! 

Hello friends! Ek baar phir mai aa gaya dosto. Badhti duniya ke sath new- new cheeje aa rahi  hai. Aur isse new ideas ki kami bilkul nahi hai. Jaisa ki aap facebook hi chala rahe hai. Ab usme bhi aise log jinke paas fake id banane ka idea hai. Fake id ki taraf aap apne internet ke speed se bhi pareshan honge. Agr aap 2g network ko 4g me badlna chahte ho to iss article ko jrur padhe. To aaj mai apko bataaunga fake id ki pehchaan kaise kare.

Fake ID Kya Hota he?.

Fake id ka trend bahut hi badh chuka hai. Facebook par aise groups bhi maujood hai jisme total fake users hi apko milenge. Aur kuch to aise bhi hai jo fake id dwara thage hue hote hai. Kya apko lagta he ki iske khilaf apko kadam uthana chahiye? Mera jawab hai ha. To chaliye jante hai ki kin cheejo se ham facebook me fake id ko pehchan ya identity kar sakte hai.


How to Identify Fake ID

1. Profile Picture:

Jab bhi apko sak ho ki ye fake id hai tab aap us id ki profile picture jaroor check kare.
Agar aap desktop par hai to aap profile picture ko google par bhi search kar sakte hai. Agar pro pics google par mile ya usi person ki photo apko google par jyada mile to samajh lena vo real Facebook id nahi hai. Turant us id ko block kr dena ya fir usske chakkr me mat padna.


2. Timeline:

Agar apko shak ho raha hai tab aap us person ka timeline dekh sakte hai. Aur isse ye bhi bade araam se pata chal jaata hai ki id me first post kab ki gyi thi. Agar apko aaspas ke din ke hisaab se uske timeline me post mile to samajh lena ye id new hai aur fake hai. Aur agar timeline me jyada post na ho tab bhi vo fake ho sakti hai.


3. Activities:

Ye sabse main point hai ki fake id me sabse pahle aap ye pata laga sakte hai ki usne kitne pages ko like kiya hai. Aur kitne groups ko join kiya hai. Agar usne kam se kam pages ya groups ko join kiya hua hai ya fir bahut sare groups ko aur befaltu ke pages ko like kiya hua hai jo, us id ke hisaab se nahi milte, aur ya to dono me se kisiko na join kiya ho, tab aap ise fake kah sakte hai.


4. Albums:

Aap us person ka album bhi check kar sakte hai ki abhi tak usne kitne photo upload kiye hue hai. Kya usne har baar alag- alag logo ki photo use ki hai!  Aur aap google par bhi photo ko search kar sakte. Album me agar kam photo hui to bhi vo fake id ho sakti hai.


5. Check DOB:

Agar us id ka date of birth maheene ki starting me se hai, ya kuchh jyada hi old year ka hai par pic ke hisaab se nahi lagta tab vo id fake he. Ya fir uski id me kuchh alag type ka hi birhday likha ho tab bhi vo id fake ho sakti he.  Aur dob kuchh istarah ki ex- 01/01/xyz ya fir ane wale maheene ki ho to bhi vo id fake hone ki sambhavna hoti he.



6. Mobile Number:

Aap us id ka mobile number jaan sakte ho. Agar user ka number show kar raha ho to uspar phone laga sakte ho aur isse pata chal sakta hai. Agar number nahi show kar raha to fake id ki pehchaan samajh sakte ho.


7. Friend List:

Pahle to aap uski id se mutual friends check kare. Agar nahi hai to samajh lena ye id fake he.  Ya fir kayi sare or kuchh jayada hi friends ho aur faltu ke friends ho to ye fake id ka sanket hai. Isse aap khud hi samajh sakte ho ki  agar real id  hogi to  sirf jan-pehchan wale hi friends rahenge.


8. Check Profile:

Aap user ka profile check kar sakte hai ki vo kya work kar raha hai. Kai baar users apne product ko advertising karne ke liye fake id banate hai. Agar vo usme apko kuchb jyaada hi ajeeb work aur uske knowledge ke hisaab se nahi lag raha hai tab vo person apko ullu bana raha hai matlab fake id hi ho sakta hai.

My Final words

To ye he awesome tareek fake id pata karne ke liye. Social media me bhi pata nahi kya- kya hote rahte hai.mere khayaal se aajki post sabhi fb users ke paas jani chahiye taki sabko gyaan ho sake. Yese hi kuch problems aapko apne android mobile ke sath aate honge. Hamne ye 5 apps aapke liye khoje he. Apko ye apps jarur acche lagenge. Janane ke liye ye wala article jarur padhe. 

No comments:

Post a Comment

1. If There is a Question in Your Mind Then Definitely ask by Commenting Here.
2. You use Hindi or English Language.
3. Don't Spam Here.
4. Don't Share any Link Or Website Here
Thank You