![]() |
Mobile Ko Bachay Slow Hone Se. |
Baat Ka Knowledge Nahi Hota Ki Unka Phone Kharaab Ho Sakta Hai Means Ki Agar Vo Phone Ko Force Karnge To Unka Phone Damage Ho
Sakta Hai. Damage Hone Ghatna Sabse Pahle Hang Se Start Hoti Hai Agar Aapka Phone Hang Marta Hai To Apka Phone Pakka Hai Ki Vo Future Me Kharab Ho Sakta Hai Agar Apko
Phone Ko Kharaab Hone Se Rokna Hai To Achcha Yahi Rahega Ki Phone Ko Hang Hi Na Hone De Lekin Apko Shayad Hi Pata Hoga Ki Aap Kuchh Steps Ko Follow Karke Ya Meri Batai Hui Bat Ko Padh Ke Aap Phone Ko Hang Hone Se Bacha Sakte Hai.
Mobile Hang Kab Hota Hai.
Ye Sabse Main Question Hai Ki Hamara Phone Kab Hang Ho Sakta Hai Simple Si Baat Hai Agar Aap Apne Phone Ko Force Karenge To ApkaPhone Jaroor Hang Marega Ab Baati Ati Hai Ki Mai Phone Ko Dhang Se Chalata Hu Lekin Fir Bhi Hang Marta Hai To Mai Kahunga Ki Aap Phone Bhale Hi Na Force Kare Lekin Jaroori Nahi Hai Ki Apke Phone Me Pade System Ya Apps Phone Ko Hang Na
Karenge. Mai Apko Neeche Kuchh Tips Aur Tareeke Bataunga Jisse Apka Phone Hang Nahi Marega.
1. Use Apps According to RAM.
Agar Aap New Ho Ya Android Only Chating Ya Social Ke Liye Khareeda Hai To Pahle Is Baat Ko Jaan Le Ki Computer Jaise Apke Phone Par Bhi RAM hoti Hai Jitni Jada RAM HogiUtna Badhiya Apka Phone Run Karega Lekin Ek Cheej Ka Dhyaan Rakhe Jyada Apps Na Use Kare Jisse RAM Full Jaay Agar RAM Memory Full Ho Gayi To Sjre Apka Phone Hang Marne Lagega.
Lekin Baat Mai Apko Aur Bata Do Ki Computer Jaise Phone Me RAM Kabhi Increase Nahi Hoti Aur Na RAM Change Ho Sakti Hai.
*Mobile Browsing Ko Desktop Browsing Kaise Banaay?
2. Use Lite Apps.
Lite Apps Ka Matlab Hota Hai Halke Apps Matlab Jaise Maine Upar Bataya Ki Aap Kam Se Kam Apps Use Karo Jisse RAM Full Na Ho Par Agar AapJyada App Use Karna Chahte Hai Ya Jyada Apps Apke Liye Jaroori Ho Tab Aap Lite Apps Ka Use Kar Sakte Hai Jisse Phone Hang Nahi Hoga Play
Store Par Lite Apps Available Hai But Ek Baat Aur Jaan Le Ki Jyada Apps Use Karna Ho to Aap 3 ya 4 MB ke Apps Use Kar Sakte Hai Isse Bhi Phone Sahi Run Karta Hai.
*Android Mobile Ki Poori Tricks Aur Tips Vo Bhi Hindi Me
3. Clear or Cache Apps.
Kabhi Kabhi Kya Hota Hai Ki Jis App Ko Aap Use Karna Chahte Hai Vo Lite Me Bhi Nahi Hota Aur Uska Size Bhi Nahi Kam Hota Hai So RAM me To Dikkat Jayegi Hi To Aap Ek TargetJaroor Bana Le Ki Har 3 Days Me Aapne Phone Ke High Level Size Wale Apps Ko Clear Or Cache Karna Hai
Aur Ho Sake Doston To Force Stop Bhi Kar Sakte Hai Isse Apka Phone Good Performance Karega.
*Paisa Kaise Kamay Poori Jankari Hindi Me.
3. Some Apps Only External.
Ab Itna Understand Kar Hi Gye Ki Mobile Me Jo Bhi Problems Ya Hang Hota Hai Vo Sab System Ya Apps Ki Vajah Se Hi Hota Hai Kabhi- KabhiApps Jo Apke Phone Me Rahte Hai Vo Kuchh Jyaada Hi Space Aur RAM Acces Karte Hai Kyoki Kuchh Apps Internal Path Ko Pakar Jyada Hi Data
Store Karte Rahte Hai To Try Kariyega Ki Un Apps Ko External Path Me Move Kariyega Isse Jagah Bhi Bachegi Phone Bhi Achcha Chalega Aur Speed Performance Rahegi.
*OMG- Apka Phone Insano Ki Tarah Bate Kar Sakta Hai Jaroor Padhe
4. Internal Me Jagah Rakhe.
Internal Me Aap Jaroor Jagah Rakhe Isse Apka Phone Badhiya Run Karega Sabse Jaroori Baaf Ki Aap Internal Memory Yani Phone Memory Me Kam Se Kam 1 GB ki Jagah De Sakte HaiAgar Apke Phone Ki Storage 4 GB Hai To Aap 1 GB ki Jagah De Sakte Hai Ya Fir 8 GB storage Haito Kam Se Kam 1.5 GB ki Jagah De Sakte Hai. Simple Language Me Kaha Jaay To Kam Se Kam 1 GB Ki Jagah Do Jisse Apka
Phone Badhiya Chale Kyoki Phone Hang Hone Ke Chances Utne Kam Hote Jate Hai Jitni Usko Space Mile.
*Android Mobile Me Developer Options Ko Kaise Unlock Kare?
5. Use Cleaner not Antivirus.
Ek Baat Apko Bata Du Apke Phone Me Space Ek Clean Karne Wala App Hi Deta Hai Bahut Se Log Wrong HoteHai Aur Yahi Sochte Hai Ki Antivirus Se Mobile Me Space Increase Hoti Hai. Aisa Kuchh Nahi Hai Frnds Kyoki
Antivirus Apps Ko Kewal Scan Karta Hai Na Ki Space Clear Karta Hai. Aap Apne Phone Me Jagah Rakhne Ke Liye Koi Bhi Clean Karne Wale Apps Use Kar Sakte Ho.
*Tata Sky Chalaate Hai? Janiye Tata Sky Ki Kuchh Top Services
6. Reset Your Phone Time By Time.
Sabse Beat Idea Hai Ki Aap Phone Ko Time Se Reset Karte Rahe Lekin Uske Liye Bhi Ek Time Create Kar Ligiye Because Apko Roj Reset Nahi Karna Hai Aur Na 3 Din Me Agar AapQuickly to Quickly Phone Ko Reset Karte Hai To Isme Aapka Hi Nuksaan Hai Apka Hi Data Loss Hoga Isiliye Mai Apko.Suggest Karunga Ki Aap
Apne Phone Ko 1 Month Me Kam Se Kam 1 Hi Baar Phone Ko Reset Kare.
*Agar Aap Bhi Tricks Aur Tricks Pana Chahte Hai To Hamare Channel Ko Subscribe Kare.
7. Finally Words.
Awesome Friends Kyoki Maine Bhi Ye Tareeka Use Kiya Hai Aur Mujhe Iska Gud Result Bhi Mil Chuka Ab Mera Phone Ek Bhi Baar Hang Nahi Marta Aur Badhiya Smoothly Chalta Hai.Maine Apne Phone Par Lite Apps Bhi Use Kiye Hai. To Ye Rahi Apne Phone Ko Hang Hone Se Bachane Wali Trick Specially Unke Liye Jo Mobile Hanging Se Paresaan Hai.
Ekdam perfect jankari
ReplyDelete