Saturday, May 18, 2019

India Me Sabse Jyada Use Hone Wali Top 5 Websites

India Me Sabse Jyada Kaun Si Websites Use Hoti Hai
India Me Top 5 Websites
Use Hoti Hai.


Internet and it's popularity

Hello friends aaj ham charcha karenge un cheejo ki jinhe aap har din har raat lagatar use karte hai. Internet ka trend lagatar banta hi ja raha hai. Ek time tha jab internet ka kewal nam sunte the par kisi ne chalaya nahi tha. But ab dekha jaaye to bahut log internet use karte hai. To aaj ham jannenge ki india me kaun si websites jyada use hoti hai.

Internet

Lagbhag naam sabhi ne suna hoga yani international network. Iska trend india me bahut badh gaya hai matlab internet se jude log bahut saree websites kholte hai band karte hai. But kuchh aisi websites jo insaan lagbhag har din kholta hai. Lekin yaha mai india ki baat kar raha hu to jante hai kaun si vo websites hai.aur yh bhi janiye ki 2019 me internet par sabse jyada kya search huve he.

Top 5 visited websites in india

1. Google.co.in

google ka main version google.com hai. Par india iski link country redirect hokar google.co.in ban jati hai. Google itna famous search engine hai ki ab jo internet nahi bhi chalata vo bhi iska naam janta hai. Yani aap andaja laga sakte hai ki ye kitna famous hai. Bahut hi top level par hai ye search engine. Baat india ki ho rahi hai to ye ek aisi website hai jo india me sabse jyada use hoti hai.


2. Facebook.com

facebook bahut famous hai.  Lagbhag har admi facebook chalate hai. Ise social media me sabse top par mana jata hai. Bahut log hai jo facebook chalate he. India me bhi yah bahut use hota hai kyoki facebook ek doosre se jodne ka kaam karta hai aur sabko facebook chalana achcha lagta hai. Aur isiliye ye bhi india me sabse jyada use kiya jata hai.



3. Youtube.com

Ise duniya ka doosra search engine mana jata hai. Ye bhi india me khoob use hota hai . Yaha apko bahut sare trending videos dekhne ko milti aur har users jisko online video dekhna hota hai vo lagbhag youtube hi use karte hai. Bharat ke adhe se jyada log youtube par hi apna time dete hai aur yaha apko bahut se types ke video milte hai.


4. Wikipedia.org

Ye ek free encyclopedia website hai. Yaha apko articles bhi milte hai padhne ke liye. Yaha biography bhi hai, yaha kulmilakar poori encyclopedia hai aur yaha koi bhi apna article publish kar sakta hai. Aur hamare india me is website ko khoob dekha jata hai. Hamare india me lagbhag har user internet me biography or articles lagbhag wikipedia se hi padhte hai.


5. Amazon.in

Ye ek online shopping website hai india agar secure shopping mani jati hai to ye amazon hi hai. Yaha apko kai sare products milte hai jo ham indian buy karte hai. Matlab india me ye bhi ek website hai jo sabse jyada use hoti.


At last

I hope apko ye information bahut hi pasnd aayi hogi. Akhir aap jaan hi gye honge ki hamare bharat me sabse jyada kaun si websites hai jo use hoti hai mere khayaal se is information ko sabko apko share karna chahiye.good bye friends.


No comments:

Post a Comment

1. If There is a Question in Your Mind Then Definitely ask by Commenting Here.
2. You use Hindi or English Language.
3. Don't Spam Here.
4. Don't Share any Link Or Website Here
Thank You